manuj kA janam - Lyrics
- Sharanya naidu
- Apr 5, 2023
- 1 min read
Updated: Nov 20, 2024
manuj kA janam
raagam: ?
taaLam: Unknown Composer: Ganapati Saccidananda. Language:
pallavi
manuj kA janam milA tujh kO har pal datt kA nAm japO tan man dhan guru sEvA karO shraddhA bhakti dil mE bharO
caraNam 1 rOg rahit yadi rahanA hO sAtvik shuddh AhAr lO man kA mail miTAnE kO shraddhA sE hari kIrtan karO caraNam 2 anant puNya kamAnA hO dIn dalit kI sEvA karO apnE pAp dhulAnE kO shraddhA sE nEk kAm karO caraNam 3 jnAn kA amrt pInA hO sad granthOn kA pATh karO saccidAnand kO pAnE kO shraddhA sE guru vacan sunO
Kommentare